Friday, 29 June 2018

Sirf tum

Ungli pakad ke jisne
Chalna sikhaya hai
Meri har galti ko jisne
Pyaar se sudhaara hai
Meri har zid ko jisne
Puura kae daala hai
Mere sapne ko jisne
Sach kar dikhaya hai

Wo ho tum.. Sirf tum!

Meri chaahat ko jisne
Apni chaahat banaya hai
Mere bachpane ko jisne
Badappan se sambhala hai
Meri nadaaniyo ko jisne
Gale se lagaya hai

Wo ho tum... Sirf tum!

Mere har samay mein jisne
Sath nibhaya hai
Mere apna bankar jisne
Mujhe uska hamdard banaya hai
Meri saanso pe jisne
Apna haq jamaya hai
Meri zindagi me aakar jisne
Mujhko jeena sikhaya hai

Wo ho tum... Sirf tum!

Sunday, 3 June 2018

Meri Didi ❤

         MERI DIDI ❤

Jo bina kahe man ki baat jaan le
wo hai didi
jo bina jatae dil ka dard bhaanp le
wo hai didi
jo bina maange, sb kuch de de
wo hai didi
jo bina puchey, mujhe sahi raah dikha de
wo hai didi
job hamesha mere sath rhti hai
wo hai didi
jo hmesha mera khyal rkhti hai
wo hai didi
jo hmesha meri chinta krti hai
wo hai didi
jo hmesha meri baate krti hai
wo hai didi
jo saaya k tarah mere sath rhti hai
wo hai didi
jo mere saare jazbaat samjhti hai
wo hai didi
jo mere har raaz jaan leti hai
wo hai didi
jo meri ek aawaz pe saamne aa jaati hai
wo hai didi
jo mere har pal mein hai
jo mere aaj aur kal mein hai
jo mere har safar mein hai
jo dil mein aur dimaag mein hai
wo hai didi
zameen se aasman tk
jo har kahi hai
wo hai didi
raat k andhere se subh ke sawere tak
jo har ghadi khadi hai
wo hai didi...

Written by:
ANCHAL SRIVASTAVA

Incredibly unique!

You are the writer of your life. If you think that God has made you different from others. You don't have money, you don't have a pr...