Thursday, 6 September 2018

Poem

Rutha rutha hai man manau kaise
Tuta tuta hai dil lagau kaise
Phika phika hai din sajau kaise
Soona soona hu tere bin tujhe lau kaise

Tu wapas aaega nahi ye pata hai mujhe
Phir bhi tujhe paane ki pyaas ko bujhau kaise
Tu mud ke dekhega nahi ye pata hai mujhe
Phir bhi tujhe dekhne ki chah ko dabau kaise
Tujhe ab pyaar nahi hai ye pata hai mujhe
Phir bhi Teri yaado ko dil se mitau kaise
Tujhe ab nafrat hai ye pata hai mujhe
Phir bhi Tujh sang beete Palo ko bhulau kaise

Rutha rutha hai man manau kaise
Tuta tuta hai dil lagau kaise
Phika phika hai din sajau kaise
Soona soona hu tere bin tujhe lau kaise

Tu ho chuka hai kisi aur ka ye pata hai mujhe
Phir bhi tujhe apna banane ki tadap hatau kaise
Tu ho chuka hai kisi ka apna ye pata hai mujhe
Phir bhi tujhe paraya na karne ki lat chudau kaise
Tujhme na baaki hu mai ye pata hai mujhe
Phir bhi mujhme bhare tumko nikalu kaise
Tujhe zarurat na rahi meri ye pata hai mujhe
Phir bhi tujhko churane ki koshish mein tujhe rijhau kaise

Rutha rutha hai man manau kaise
Tuta tuta hai dil lagau kaise
Phika phika hai din sajau kaise
Soona soona hu tere bin tujhe lau kaise

-written by:
Anchal Nitish Bhardwaj

Incredibly unique!

You are the writer of your life. If you think that God has made you different from others. You don't have money, you don't have a pr...