Tuesday, 22 May 2018


               "MAA"


Maa ki aankho ka taara ban jau
Unki goadi mein mai khilkhilau
Unki hasi bhi mai ban jau
Unki khushi mein khush ho jau
Maa ki mamta mein mai kho jau
unki dulaari mai ban jau
teri aankho ka taara ban jau
teri duniya mai ho jau

maa o maa.... maa o maa
maa o maa.... aa jaa na,,, o maaa x2



Maa ki parchai se khud ko dhak lu
Unke aanchal mein chup kar sisak lu
Maa k sapne pure mai kar du
Maa k pairo mein jannat rakh du
Maa ke pyaar se mai bhar jau
Bas maa Teri aankho ka taara ban jau

maa o maa.... maa o maa
maa o maa.... aa jaa na,,, o maaa x2

Maa ko Garv ho ek din mujhpar
Maa tera aisa bachha ban jau
Maa ko naaz ho ek din mujhpar
Maa tera aisa bachha ban jau
Maa Teri aur abhimaan ban jau
Teri nazar mein uchi uth jau
Bas Maa Teri aankho ka taara ban jau
tujhse duur kbhi na ho pau

maa o maa.... maa o maa
maa o maa.... aa jaa na,,, o maaa x2






Maa haath rakh de jis par
Maa usko tere haath me rkh du laa kar
Maa maang le Jo bhi mujhse kah kar
Maa usko tere saamne rkh du laa kr
Written By:ANCHAL SRIVASTAVA


Thursday, 3 May 2018

Do panchi

"TWO LOVE BIRDS"


Khule aasman ke niiche
Baithe do panchi aankhein miiche
Har pal unke fiike fiike
Fir bhi pyaar ko hardam siinche

Aankhon mein aansu le kr
Dhoondh rahe aane wala kal
Ek-dusre ke ban kar
Kaat rahe sangharsh ke pal
Pinjare bhi dono ke alag-alag
Jeevan bhi hai uthal puthal
Fir bhi dhaandhas baandh kr
Lad rahe apne bal par

Khule aasman ke niiche
Baithe do panchi aankhein miiche
Har pal unke fiike fiike
Fir bhi pyaar ko hardam siinche


Pankhon mein apne taakat le kar
Khangaal rahe aas wale pal
Ek dusre k bankar
Baant rahe dukho k pal
Jism bhi dono k alag-alag
Saansein bhi jaye sihar sihar
Fir bhi ek sparsh kr paane ka sochkr
Fadfadaaye jaaye apne par

Khule aasman ke niiche
Baithe do panchi aankhein miiche
Har pal unke fiike fiike
Fir bhi pyaar ko hardam siinche

Man mein saahas va aasha le kar
Buntey hai sapno ka kal
Ek dusre ka bankar
Chaant rahe khushiyo k pal
Kaid hai dono alag-alag
Dharti bhi ab toh kaanpe thar thar
Saal beete, beete mausam
Pinjaro mein bhi lag gai ab Jung
Fir bhi sath hone ki hodd mein
Cheekh rahe... Ishwar bas kar!
Cheekh rahe ishwar bas kar....!!

Khule aasman ke niiche
Baithe do panchi aankhein miiche
Har pal unke fiike fiike
Fir bhi pyaar ko hardam siinche...!!





A POEM BY:
ANCHAL SRIVASTAVA

Incredibly unique!

You are the writer of your life. If you think that God has made you different from others. You don't have money, you don't have a pr...