Wednesday, 28 November 2018

Maaye se sasuraal tak ka safar.. Kavita (poem)

Papa ki pari hu
Duur ud chali hu
Maayke se apne ab sasural chal padi hu
Naya ghar naye log hai
Kisi cheez ki na koi kami hai
Lekin papa aapki aawaz yaha nahi hai
Haan papa aapki yaha bahut kami hai

Subah jaldi jag jaane ki chinta ab rehne lagi hai
Koi nahi aata kahne ki kuch der so le beta tu thora thaki thaki hai
Wo subah subah college jaate waqt naashte k liye chillati thi
Mummy uthti q nhi aap naashta tak na ready hai
Aaj yahi beti uthkar naashta jab bnati hai
Aapki neend aur aaram ka tyaag khuub samjh paati hai
Mummy dekho yaha pe koi kami mujhe nahi hai
Lekin mummy aapki mamta bhari goad yaha nahi hai
Haan mummy aapki yaha bahut kami hai

Bhaiya didi aur mujhme jhagda jab b hota tha
Sabsi choti hu kahkar hamesha mujhko hi jeeta diya jata tha
Zimmedariyo ka koi bhi bojh kbhi nhi tha
Waqt ki keemat ka bhi tab mujhko pata nhi tha
Ghar sambhalne ka koi andaaza tak bhi toh nahi tha
Aaj dekho wahi ladki Jisko bachhi hai kahte they
Galtiya hone se phle hi theek karna seekh gai hai
Samay se pahle hi har kaam pura karne lagi hai
Khair koi kami toh mujhe yaha nahi hai
Par bhaiya tumhare badappan ki aadat abhi chuti nhi hai
Didi ki daant aur pyaar ki Zara bhi baate bhuli nahi hai
Haan papa mummy aapki kami yaha bahut khali hai

Der se so kar uthti thi phir maggi bana do mummy ye kahti thi
TV on kar ke aaram se chai naashta karti thi
Chutti wale din toh bazaar se kuch le aana papa se kahti thi
Der se kyu aaye papa iski bhi shikayat karti thi
Papa ke sath baithkar phir ludo khela karti thi
Mummy ke haatho mein mehndi laga kar khuub khush ho jaya karti thi
Khair yaha waise toh koi dikkat ya kami nhi hai
Lekin mummy aapke dulaar ki bahut kami hai
Haan papa aapke pyaar Aur sath ki kami bahut bahut khali hai...

No comments:

Post a Comment

Incredibly unique!

You are the writer of your life. If you think that God has made you different from others. You don't have money, you don't have a pr...