Maine Jo chaha wo paaya hai
Jiske liye marte they usne jeena sikhya hai
Jiske liye rote they usne hasna sikhaya hai
Jiska haath pakda hai Maine usne chalna sikhaya hai
Kuch alag sa hi hmesha vishwas banaya hai
Kuch ruka hua tha jaise usne Aage badhaya hai
Jo chaha wo paaya hai, usne mera aaj aur aane wala kal sawara hai
Jiske liye mannat maangi thi usne jannat dikhayi hai
Jiske liye tute bhikhare they usne khushiyo se sajaya hai
Jisko man se maanga tha usne manzil se milaya hai
Kuch alag sa hi hmesha usne pyaar jataya hai
Kuch tham sa gaya tha jaise usne lahro tak pahunchaya hai
Jo chaha hai wo paaya hai, usne mera sath har pal nibhaya hai
Jiske liye ruthey they sabse usne mujhe manaya hai
Jiske liye pyaase they kabse usne samandar se milaya hai
Jiske liye dekhte they sapne usne sapno ko sach kar dikhaya hai
Kuch alag sa hi hmesha usne jeene ki wajh di hai
Kuch thehra hua tha jaise usne apne rang mein rang daala hai
Jo chaha wo paaya hai, Usne mujhe pyaar se nikhara hai....
-ANCHAL NITISH BHARDWAJ
No comments:
Post a Comment